har marg-e-arzu ka nishan der tak raha
jab shama gul hui to dhuan der tak raha
wo waqt-ha-e-su-e-haram jab chale the hum
daman-kash KHayal-e-butan der tak raha
kaliyan udas phul fasurda saba KHamosh
ab ke chaman pe rang-e-KHizan der tak raha
muddat guzar chuki pa KHusha lazzat-e-visal
har mah-wash pe us ka guman der tak raha
dar-o-rasan ka zikr chhiDa jab bhi dosto
aankhon mein ek sarw-e-rawan der tak raha
diwane ko to apna bhi rahta nahin hai hosh
ek nam phir bhi wird-e-zaban der tak raha
Ghazal
Har marg-e-arzu ka nishan der tak raha
Shahid Ishqi