har laghzish-e-hayat par itra raha hun main
aur be-gunahiyon ki qasam kha raha hun main
naz-afrin mera bhi KHiram-e-niyaz dekh
mahshar mein muskuraata hua aa raha hun main
har ashk-e-dil-gudaz mai-nau-kashida hai
saghar se shoala ban ke uDa ja raha hun main
zarb-ul-masal hain ab meri mushkil-pasandiyan
suljha ke har girah ko phir uljha raha hun main
chalta hai sath sath zamane ke kya karun
ruKH par hawa ke bahta chala ja raha hun main
sab rishte ab to TuT chuke sabr-o-zabt ke
angDaiyon ko rok uDa ja raha hun main
hathon se chhuTne ko hai ab dil ka aaina
tum to sanwar rahe ho miTa ja raha hun main
kya faeda zamane se Takraun kyun 'siraj'
KHud apne raste se haTa ja raha hun main
Ghazal
Har laghzish-e-hayat par itra raha hun main
Siraj Lakhnavi