har koi milta hai ban kar diwar
TuT jaegi magar har diwar
main bhi taqsim na ho jaun kahin
uTh rahi hai mere andar diwar
har bala sidhi chali aati hai
koi hoti mere bahar diwar
chhoD kar jaun kahan bachchon ko
ab to hai mere liye ghar diwar
dhup se hum ko bachane ke liye
roz phailati rahe par diwar
phir jazire na mile aapas mein
raste mein hai samundar diwar
main sunata raha dukhDe 'KHawar'
aur roti rahi shab bhar diwar
Ghazal
Har koi milta hai ban kar diwar
Khaqan Khavar