har KHwab kali raat ke sanche mein Dhaal kar
ye kaun chhup gaya hai sitare uchhaal kar
aaise Dare hue hain zamane ki chaal se
ghar mein bhi panw rakhte hain hum to sambhaal kar
KHana-KHarabiyon mein tera bhi pata nahin
tujh ko bhi kya mila hamein ghar se nikal kar
jhulsa gaya hai kaghzi chehron ki dastan
jalti hui KHamoshiyan lafzon mein Dhaal kar
ye phul KHud hi sukh kar aaenge KHak par
tu apne hath se na inhen paemal kar
Ghazal
Har KHwab kali raat ke sanche mein Dhaal kar
Adil Mansuri