اردو हिंदी
Har kasa-e-dil kaif se sarshaar bahut hai | Shaahi Shayari
har kasa-e-dil kaif se sarshaar bahut hai

Ghazal

Har kasa-e-dil kaif se sarshaar bahut hai

Irfana Azeez

;

har kasa-e-dil kaif se sarshaar bahut hai
mail-ba-karam koi tarah-dar bahut hai

kab satwat-e-asbab ki hai dil ko tamanna
hum ahl-e-tariqat ko to pindar bahut hai

ye ahd ibarat nahin shamshir-o-sinan se
shorida-saro! jurat-e-guftar bahut hai

karta hai lahu dil ko har ek harf-e-tasalli
kahne ko to yun qurbat-e-gham-KHwar bahut hai

har-chand rasai mein nahin fasl-e-bahaaran
arbab-e-junun daman-e-dildar bahut hai

honTon se ho manus agar haq to junun ko
ek nara-e-mansur sar-e-dar bahut hai