har jalwe pe nigah kiye ja raha hun main
aankhon ko KHizr-e-rah kiye ja raha hun main
miTne na pae tazgi-e-lazzat-e-gunah
tauba bhi gah gah kiye ja raha hun main
kaisi ye zindagi hai ki phir bhi hai shauq-e-zist
gauhar-nafas ek aah kiye ja raha hun main
ashkon ki mashalon ko farozan kiye hue
tai iltija ki rah kiye ja raha hun main
KHud jis ke samne siper-andaKHta hai husn
aisi bhi ek nigah kiye ja raha hun main
shayad kabhi wo bhul ke rakkhen idhar qadam
aankhon ko farsh-e-rah kiye ja raha hun main
baDhti hi ja rahi hain teri kam-nigahiyan
kya dil mein tere rah kiye ja raha hun main
zulmat-e-dair-o-kaba mein kuchh raushni si hai
shayad koi gunah kiye ja raha hun main
'mulla' har ek taza musibat pe hans ke aur
kaj gosha-e-kulah kiye ja raha hun main
Ghazal
Har jalwe pe nigah kiye ja raha hun main
Anand Narayan Mulla