har ek Tahni pe gul murjha hua hai
bhare ghar mein koi tanha hua hai
wajud us ka zamana manta hai
ki dariya jab talak bahta hua hai
mujhe KHairaat mein lauTa rahe ho
mere purkhon se jo chhina hua hai
hamein milon liye chalta hai taham
ba-zahir rasta Thahra hua hai
mere maula sameTe kaun kis ko
yahan har aadmi bikhra hua hai

Ghazal
Har ek Tahni pe gul murjha hua hai
Sabir Shah Sabir