har ek surat mein tujh ko jaante hain
hum is bahrup ko pahchante hain
hai qadir to KHuda lekin butan bhi
wo kar chukte hain jo kuchh Thante hain
tu naseh man ya mat man lekin
teri baaten koi hum jaante hain
gae gauhar ke tajir jis taraf se
hum un raston ki maTi chhante hain
na sambhla aasman se ishq ka bojh
hamin hain jo ye magdar bhante hain
murid-e-KHandan-e-ishq jo hai
hum apna pir use gardante hain
kali maren hain do rakat pe zahid
na DanD pelen na magdar bhante hain
bahut jage hum us mahfil mein 'qaem'
koi dam ab to chadar tante hain
Ghazal
Har ek surat mein tujhko jaante hain
Qayem Chandpuri