اردو हिंदी
Har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun | Shaahi Shayari
har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun

Ghazal

Har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun

Azad Gulati

;

har ek shikast ko ai kash is tarah main sahun
fuzun ho aur bhi dil mein teri talab ka fusun

tumhaare jism ki jannat to mil gai hai magar
main apni ruh ki dozaKH ka kya ilaj karun

hansa hun aaj to majbur tha ki tere huzur
mujhe ye Dar tha agar chup raha to ro na paDun

tamam umr na bhaTke kahin tu meri tarah
hun kashmakash mein jo kahna hai wo kahun na kahun

na ab pukar mujhe muddaton ki duri se
tere qarib nahin hun ki teri baat sunun

teri talash ko niklunga is se pahle magar
main teri yaad ke sahra mein KHud ko DhunD to lun

wo dekh le to na roe bina rahe 'azad'
main sochta hun ki ek bar KHud pe yun bhi hansun