har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha
to phir use bhi hamara KHayal chahiye tha
wo rishte-naton ko rasman nibhane aaya tha
hamein dilon ka talluq bahaal chahiye tha
bulandiyon pe tawazun na rah saka qaem
yahan uruj ko thoDa zawal chahiye tha
ghazal to aap se le leti paDh bhi deti magar
mujhe adab mein bhi rizq-e-halal chahiye tha
kamal par hai ye ehsas in dinon 'nusrat'
koi hamein bhi yahan ba-kamal chahiye tha
Ghazal
Har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha
Nusrat Mehdi