har ek manzar badalta ja raha hai
ye lamha bhi guzarta ja raha hai
tera ehsas ek muddat se meri
rag-o-pai mein utarta ja raha hai
shikayat zindagi se karte karte
wo ek ek lamha marta ja raha hai
paDa hai jab se tera aks is mein
ye aaina sanwarta ja raha hai
waraq yaadon ke kis ne khol Dale
mera kamra mahakta ja raha hai
ye duniya to simaTti ja rahi hai
magar insan bikharta ja raha hai

Ghazal
Har ek manzar badalta ja raha hai
Rais Siddiqui