har ek lamha hamein hum se juda karti hui si
hamare bich diwar-e-ana banti hui si
larazti kanpti misl-e-haya simTi hui si
meri jaanib baDhi us ki sada sahmi hui si
wahi manzar larazta hai nigahon mein abhi tak
dariche hath phailae hawa ruThi hui si
tere qadmon ki aahaT rahguzar-dar-rahguzar raushan
teri aamad ki KHushbu ja-ba-ja bikhri hui si
sabhi manus chehre ajnabi se lag rahe hain
hamein jine nahin degi faza badli hui si
nigahon ke ufuq hairaniyon ke abr mein gum
koi shai aaine mein runuma hoti hui si
na jaane kis tabahi ki taraf le jaegi ab
hamari zindagi be-saKHta baDhti hui si
mujhe mujh se alag karne pe aamada hai 'aKHtar'
meri pahchan mujh se aashna hoti hui si

Ghazal
Har ek lamha hamein humse juda karti hui si
Sultan Akhtar