har ek ke dukh pe jo ahl-e-qalam taDapta tha
KHud us ka apna har ek dard us pe hansta tha
main aaj kyun tah-e-daman bhi jal nahin sakta
mera hi shoala hawaon pe kal lapakta tha
zamane-bhar ki adaon ko sah raha hun aaj
kabhi main apni adaon se bhi bigaDta tha
wo meri shakl se bezar ho raha hai aaj
jo shaKHs kal meri aawaz ko tarasta tha
tamam shab jise baKHshe the reshmi gesu
sahar hui to wo sar dar par laTakta tha
meri giraft mein kaun-o-makan ki bag thi jab
mera wajud meri ruh se larazta tha
har ek se Darta hun main aaj ek KHuda ke siwa
kabhi wo din the ki bas ek KHuda se Darta tha
lo aaj tu ne bhi diwana kah diya mujh ko
tere hi dil mein to mera suKHan utarta tha
ye kya kiya mujhe meri nazar se chhin liya
usi lahu se charagh-e-wajud jalta tha
kisi sitam mein bhi ek raunaq-e-talluq hai
wagarna yun to main tanhaiyon mein Dhalta tha
tera sambhalna bhi girna hai in dinon 'dara'
kahan wo din ki tu girne mein bhi sambhalta tha

Ghazal
Har ek ke dukh pe jo ahl-e-qalam taDapta tha
Tifl Dara