har ek kamal ko dekha jo hum ne ru ba-zawal
sisak ke rah gai sine mein aarzu-e-kamal
hum apni Dubti qadron ke sath Dub gae
milegi ab to kitabon mein bas hamari misal
hue ana ke dikhawe se log sar afraaz
ana ne sar ko uTha kar kiya hamein pamal
zara si umr mein kis kis ka hal talash karen
khaDe hain rasta roke hue hazar sawal
mere KHulus ka yaron ne aasra le kar
kiya hai KHub meri dosti ka istehsal
bujha bujha sa yahi dil hai is shabab ki rakh
ragon mein dauD rahi thi jo aatish-e-sayyal
mile wo lamha jise apna kah saken 'kaifi'
guzar rahe hain isi justuju mein mah-o-sal
Ghazal
Har ek kamal ko dekha jo humne ru ba-zawal
Haneef Kaifi