har ek ka dard usi aashufta-sar mein tanha tha
wo ek shaKHs jo sare nagar mein tanha tha
wo aadmi bhi jise jaan-e-anjuman kahiye
chala jab uTh ke to sare safar mein tanha tha
jo tir aaya gale mil ke dil se lauT gaya
wo apne fan mein main apne hunar mein tanha tha
us ek diye se hue kis qadar diye raushan
wo ek diya jo kabhi baam-o-dar mein tanha tha
suna hai luT gaya kal raat raste mein kahin
jo ek rah-guzri rahguzar mein tanha tha
uTha ye shor wahin se sadaon ka kyun-kar
wo aadmi to suna apne ghar mein tanha tha
har ek mein koi kami thi har ek mein tha koi aib
dhula hua wahi bas aab-e-zar mein tanha tha
na pa saka kabhi ta-umr lutf-e-tanhai
umar jo sare jahan ki nazar mein tanha tha
Ghazal
Har ek ka dard usi aashufta-sar mein tanha tha
Umar Ansari