har ek fankar ne jo kuchh bhi likkha KHub-tar likkha 
hawa ne paniyon par paniyon ne ret par likkha 
daraKHshan kitne lamhe kar gaya ek barg-e-jaan-rafta 
shajar se gir ke us ne daeron mein kis qadar likkha 
subuk se rang halke daere ubhre hue shoshe 
kisi ne kitni fankari se is ke jism par likkha 
main hun zulmat-guzin ye khel hai taqdir ka warna 
siyahi se bhi main ne raushni ke nam par likkha 
shafaq ka rang kitne walehana-pan se bikhra hai 
zamin o aasman ne mil ke unwan-e-sahar likkha
        Ghazal
Har ek fankar ne jo kuchh bhi likkha KHub-tar likkha
Aziz Ahmad Khan Shafaq

