har ek dil yahan hai mohabbat se aari
tumhin ko mubarak ye duniya tumhaari
unhen hum se baDh ke hai ghairon ki parwa
nibahenge kab tak hamin waza-dari
raha hai yahan par na koi rahega
jo hai aaj us ki to kal apni bari
abhi tak na badli mohabbat ki qismat
abhi tak mohabbat mein hai be-qarari
qadam-ranja farma rahe hain wo aaKHir
KHabar la rahi hai ye baad-e-bahaari
qasam hai ye tum ko na aansu bahana
kabhi yaad aae jo tum ko hamari
na badla na badla hasinon ka shewa
wahi tir-o-nashtar wahi dil-figari
hun mamnun-e-ehsan KHuda jaanta hai
hai shamil tabiat mein bhi sharmsari
tere 'soz' ki yun basar ho rahi hai
na ghairon se matlab na apnon se yari

Ghazal
Har ek dil yahan hai mohabbat se aari
Sardar Soz