har ghar mein koi tah-KHana hota hai
tah-KHane mein ek afsana hota hai
kisi purani almari ke KHanon mein
yaadon ka anmol KHazana hota hai
raat gae aksar dil ke viranon mein
ek sae ka aana jaana hota hai
baDhti jati hai bechaini naKHun ki
jaise jaise zaKHm purana hota hai
dil rota hai chehra hansta rahta hai
kaisa kaisa farz nibhana hota hai
zinda rahne ki KHatir in aankhon mein
koi na koi KHwab sajaana hota hai
tanhai ka zahr to wo bhi pite hain
jin logon ke sath zamana hota hai
sahra se basti mein aa kar bhed khula
dil ke andar hi virana hota hai
sarmasti mein yaad nahin rakhta koi
bazm se uTh kar wapas jaana hota hai
Ghazal
Har ghar mein koi tah-KHana hota hai
Alam Khursheed