har ghaDi rahta hai ab KHadsha mujhe 
pi na jae waqt ka dariya mujhe 
go haqiqat tha magar ai zindagi 
KHwab sa tu ne sada dekha mujhe 
jab bhi milta hun wahi chehra liye 
bad-dua deta hai aaina mujhe 
chhoD aaya hun sulagti ret mein 
jaane kya kahta ho naqsh-e-pa mujhe 
us ke dil mein KHud wafa na-paid thi 
dosti ki bhik kya deta mujhe 
Dubti bujhti hui aawaz hun 
sath walo ghaur se sunna mujhe
        Ghazal
Har ghaDi rahta hai ab KHadsha mujhe
Ajmal Ajmali

