har gham gham-e-taza hai ye shadab hai sina
aisa bhi to is daur mein nayab hai sina
hangam-e-KHamidan bhi ye sar KHam nahin hota
yun kahne ko ganjina-e-adab hai sina
jaise ki na aai hai na aaegi koi aur
har subh ko is taur se betab hai sina
baatin pe nazar kije to ek bahr hai zaKHKHar
zahir pe nazar kije to payab hai sina
kab dasht-o-jabal koh-o-daman rah mein aaen
ho soz jo sine mein to sailab hai sina
zahir mein to jo kuchh hai wo asbab-e-jahan hai
baatin mein yahi chashma-e-asbab hai sina
aankhen to barasti hain barasti hi rahengi
kyun Dub na jaen ki tah-e-ab hai sina
jis bab mein aasar-e-ghazalan-e-ajam hain
tauret ka quran ka wo bab hai sina
har-dam mere honTon se chhalakti hai gulabi
betab si ek mauj-e-mai-e-nab hai sina
basti mein ajab daulat-e-bedar hain aankhen
virane mein ek daulat-e-nayab hai sina
bedari mein soya hua qatre mein talatum
aur KHwab mein jaga hua sailab hai sina
hai ranj ka aalam bhi koi aish ka aalam
har-lahza ajab aalam-e-sad-KHwab hai sina
aalam hai agar raaz to ye shisha-e-jam hai
aalam hai agar saz to mizrab hai sina
allah ghani kahiye ki allah ghani hai
wo tab ata ki hai jahan-tab hai sina

Ghazal
Har gham gham-e-taza hai ye shadab hai sina
Khurshid-ul-islam