har gali kuche mein rone ki sada meri hai
shahr mein jo bhi hua hai wo KHata meri hai
ye jo hai KHak ka ek Dher badan hai mera
wo jo uDti hui phirti hai qaba meri hai
wo jo ek shor sa barpa hai amal hai mera
ye jo tanhai barasti hai saza meri hai
main na chahun to na khil pae kahin ek bhi phul
bagh tera hai magar baad-e-saba meri hai
ek TuTi hui kashti sa bana baiTha hun
na ye miTTi na ye pani na hawa meri hai
Ghazal
Har gali kuche mein rone ki sada meri hai
Farhat Ehsas