har gam hadsa hai Thahar jaiye janab
rasta agar ho yaad to ghar jaiye janab
zinda haqiqaton ke talatum hain samne
KHwabon ki kashtiyon se utar jaiye janab
inkar ki salib hun sachchaiyon ka zahr
mujh se mile baghair guzar jaiye janab
din ka safar to kaT gaya suraj ke sath sath
ab shab ki anjuman mein bikhar jaiye janab
koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqad
mimbar ki siDhiyon se utar jaiye janab
Ghazal
Har gam hadsa hai Thahar jaiye janab
Ameer Qazalbash