اردو हिंदी
Har ek sham ka manzar dhuan ugalne laga | Shaahi Shayari
har ek sham ka manzar dhuan ugalne laga

Ghazal

Har ek sham ka manzar dhuan ugalne laga

Ameer Imam

;

har ek sham ka manzar dhuan ugalne laga
wo dekho dur kahin aasman pighalne laga

to kya hua jo mayassar koi libas nahin
pahan ke dhup main apne badan pe chalne laga

main pichhli raat to bechain ho gaya itna
ki us ke baad ye dil KHud-ba-KHud bahalne laga

ajib KHwab the shishe ki kirchiyon ki tarah
jab un ko dekha to aankhon se KHun nikalne laga

bana ke daera yaaden simaT ke baiTh gain
ba-waqt-e-sham jo dil ka alao jalne laga