har ek sans ke pichhe koi bala hi na ho
main ji raha hun to jina meri saza hi na ho
jo ibtida hai kisi intiha mein zam to nahin
jo intiha hai kahin wo bhi ibtida hi na ho
meri sadaen mujhi mein palaT ke aati hain
wo mere gumbad-e-be-dar mein gunjta hi na ho
bujha rakhe hain ye kis ne sabhi charagh-e-hawas
zara sa jhank ke dekhen kahin hawa hi na ho
ajab nahin ki ho us aastan pe jamm-e-ghafir
aur us ko mere siwa koi dekhta hi na ho
wo DhunD DhunD ke ro ro paDe hamare liye
so dur dur tak apna ata-pata hi na ho
Ghazal
Har ek sans ke pichhe koi bala hi na ho
Salim Saleem