har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah
khule na mujh pe wo ujDi haweliyon ki tarah
ye rang rang parinde hi hum se achchhe hain
jo ek daraKHt pe rahte hain beliyon ki tarah
sunahri dhup mein baiThi hon mil ke jab chiDiyan
to chahchahati hain alhaD saheliyon ki tarah
uTha ke hath duaen na mang barish ki
falak bhi KHushk hai teri hatheliyon ki tarah
ujaD gaya hai magar ras rut badalne se
kabhi mahakta tha 'KHawar' chambeliyon ki tarah
Ghazal
Har ek rup hai us ka paheliyon ki tarah
Khaqan Khavar