har ek raat mein apna hisab kar ke mujhe
sahar ko chhoD diya aaftab kar ke mujhe
mere junun ko pahuncha diya hai manzil tak
safar ke shauq ne KHana-KHarab kar ke mujhe
zara si der mein wo bulbule bhi phuT gae
jinhen wajud mila gharq-e-ab kar ke mujhe
usi ko din ke ujale mein aaunga main nazar
tamam raat jo dekhega KHwab kar ke mujhe
jagah jagah pe muDe hain kai waraq mere
kisi ne roz paDha tha kitab kar ke mujhe
bana raha hai agar tu mujhe to dhyan rahe
tujhe banana paDega KHarab kar ke mujhe
main ek nasha hun use paD gai hai lat meri
hayat pine lagi hai sharab kar ke mujhe
meri shanaKHt hai ahl-e-suKHan mein bas itni
kiya gaya hai alag intiKHab kar ke mujhe
Ghazal
Har ek raat mein apna hisab kar ke mujhe
Bharat Bhushan Pant