har ek pal mujhe dukh dard be-shumar mile
KHuda kabhi to mere dil ko bhi qarar mile
zamana dushman-e-jaan ho gaya ye gham hai magar
mera nasib ki KHanjar ba-dast-e-yar mile
kya hogi is se bhi baDh kar kisi ki mahrumi
jise nasib mein ta-marg intizar mile
ai aalamin ke raaziq bata kahan jaun
mere watan mein mujhe jab na rozgar mile
rahe wo zinda ya mar jae farq kya hai jise
ghuTan zamane mein aur qabr mein fishaar mile
main muskuraata magar di na ashk ne mohlat
KHushi jab ek mili sath gham hazar mile
jo jhuT bole hukumat se dad le jae
jo bole sach use tohfe mein auj-e-dar mile
falak pe likkhun tera nam mere nam ke sath
agar kabhi mujhe taron par iKHtiyar mile
main jin se dur hi rahna pasand karta tha
wo zindagi ki masafat mein bar bar mile
KHushi se 'abr' har ek rabt munqata kar do
agar kahi koi duniya mein sogwar mile
Ghazal
Har ek pal mujhe dukh dard be-shumar mile
Anis Abr