har ek KHwab so gaya KHayal jagte rahe
jawab pi liye magar sawal jagte rahe
hamari putliyon pe KHwab apna bojh rakh gae
hum ek shab nahin ki mah o sal jagte rahe
guzar ke wo hijraten ajib zaKHm de gain
mile bhi us ke baad par malal jagte rahe
bas ek bar yaad ne tumhaara sath chhu liya
phir is ke baad to kai jamal jagte rahe
kamal-e-be-kali sahi ajib ratjage kiye
hamare jism nind se niDhaal jagte rahe
koi jawaz DhunDte KHayal hi nahin raha
tamam umr yunhi be-KHayal jagte rahe
Ghazal
Har ek KHwab so gaya KHayal jagte rahe
Sarwat Zehra