har ek hath mein patthar dikhai deta hai
ye zaKHm ghar se nikal kar dikhai deta hai
suna hai ab bhi mere hath ki lakiron mein
najumiyon ko muqaddar dikhai deta hai
ab inkisar bhi shamil hai waza mein us ki
use bhi ab koi ham-sar dikhai deta hai
gira na mujh ko mere KHwab ki bulandi se
yahan se mujh ko mera ghar dikhai deta hai
jahan jahan bhi hai nahr-e-furaat ka imkan
wahin yazid ka lashkar dikhai deta hai
KHuda ke shahr mein phir koi sangsar hua
jise bhi dekhiye patthar dikhai deta hai
'amir' kis ko bataoge kaun manega
sarab hai jo samundar dikhai deta hai
Ghazal
Har ek hath mein patthar dikhai deta hai
Ameer Qazalbash