har ek baat ko chup-chap kyun suna jae
kabhi to hausla kar ke nahin kaha jae
tumhaara ghar bhi isi shahr ke hisar mein hai
lagi hai aag kahan kyun pata kiya jae
juda hai hir se ranjha kai zamanon se
nae sire se kahani ko phir likha jae
kaha gaya hai sitaron ko chhuna mushkil hai
ye kitna sach hai kabhi tajraba kiya jae
kitaben yun to bahut si hain mere bare mein
kabhi akele mein KHud ko bhi paDh liya jae
Ghazal
Har ek baat ko chup-chap kyun suna jae
Nida Fazli