اردو हिंदी
Har ek baat kisi baat par hai goya tanz | Shaahi Shayari
har ek baat kisi baat par hai goya tanz

Ghazal

Har ek baat kisi baat par hai goya tanz

Nadeem Fazli

;

har ek baat kisi baat par hai goya tanz
meri zaban meri zat par hai goya tanz

na wo KHulus ki garmi na walehana-pan
kisi se milna mulaqat par hai goya tanz

nigah-e-adam-e-KHaki ki wusaton ka bayan
tamam arz-o-samawat par hai goya tanz

ajib shaKHs hai us ki bas ek KHamoshi
zamane bhar ki KHurafat par hai goya tanz

kisi ke hath pe baiat na kar saka main 'nadim'
so apna hath mere hat par hai goya tanz