har dam duaen dena har lahza aahen bharna 
un ka bhi kaam karna apna bhi kaam karna 
han kis ko hai mayassar ye kaam kar guzarna 
ek bankpan se jina ek bankpan se marna 
jo zist ko na samjhen jo maut ko na jaanen 
jina unhin ka jina marna unhin ka marna 
teri inayaton se mujh ko bhi aa chala hai 
teri himayaton mein har har qadam guzarna 
sahil ke lab se puchho dariya ke dil se puchho 
ek mauj-e-tah-nashin ka muddat ke baad ubharna 
ai shauq tere sadqe pahuncha diya kahan tak 
ai ishq tere qurban jina hai ab na marna 
har zarra aah jis ka labrez-e-tishnagi hai 
us KHak ki bhi jaanib ai abr-e-tar guzarna 
dariya ki zindagi par sadqe hazar jaanen 
mujh ko nahin gawara sahil ki maut marna 
ranginiyan nahin to ranaiyan bhi kaisi 
shabnam si naznin ko aata nahin sanwarna 
ashkon ko bhi ye jurat allah ri teri qudrat 
aankhon tak aate aate phir dil mein ja Thaharna 
ai jaan-e-naz aa ja aankhon ki rah dil mein 
in KHushk naddiyon se mushkil ho kiya guzarna 
hum be-KHudan-e-gham se ye raaz koi sikhe 
jina magar na jina marna magar na marna 
kuchh aa chali hai aahaT us pa-e-naz ki si 
tujh par KHuda ki rahmat ai dil zara Thaharna 
KHun-e-jigar ka hasil ek sher-e-tar ki surat 
apna hi aks jis mein apna hai rang bharna
 
        Ghazal
Har dam duaen dena har lahza aahen bharna
Jigar Moradabadi

