har chiz hai mahw-e-KHud-numai
har zarra shahid-e-kibriyai
be-zauq-e-numud zindagi maut
tamir-e-KHudi mein hai KHudai
rai zor-e-KHudi se parbat
parbat zof-e-KHudi se rai
tare aawara o kam-amez
taqdir-e-wajud hai judai
ye pichhle pahar ka zard-ru chand
be-raaz o niyaz-e-ashnai
teri qindil hai tera dil
tu aap hai apni raushnai
ek tu hai ki haq hai is jahan mein
baqi hai numud-e-simyai
hain uqda-kusha ye KHar-e-sahra
kam kar gila-e-barhana-pai
Ghazal
Har chiz hai mahw-e-KHud-numai
Allama Iqbal