har chand unhen ahd faramosh na hoga
lekin hamein us waqt koi hosh na hoga
dekhoge to aaegi tumhein apni jafa yaad
KHamosh jise paoge KHamosh na hoga
guzre hain wo lamhe ki sada yaad rahenge
dekha hai wo aalam ki faramosh na hoga
hum apni shikaston se hain jis tarah baghal-gir
yun qabr se bhi koi ham-aghosh na hoga
pi jate hain zahr-e-gham-e-hasti ho ki mai ho
hum sa bhi zamane mein bala-nosh na hoga
hone ko to duniya mein kai parda-nashin hain
lekin teri surat koi ru-posh na hoga
paoge na aazad-e-gham-anjum kisi dil ko
hoga gham-e-farda jo gham-e-dosh na hoga
Ghazal
Har chand unhen ahd faramosh na hoga
Anjum Rumani