har chand ki pyara tha main suraj ki nazar ka
phir bhi mujhe khaTka hi raha shab ke safar ka
uljhi hai bahut jism se dariya ki rawani
is chobi mahal ka koi taKHta bhi na sar ka
Duba hua aiwan-e-shafaq bhi hai dhuen mein
be-rang sa har naqsh hai diwar-e-sahar ka
riste hue nasur pe chalte rahe nashtar
taza hi raha phul sada zaKHm-e-hunar ka
main hun ki kaDi dhup ke sahra mein ghira hun
saya kahin milta hi nahin shaKH-e-shajar ka
mazlum tha main kal bhi to mahrum hun ab bhi
unwan badalta hi nahin meri KHabar ka
bijli to suna hai kahin jangal mein giri thi
utra hua chehra hai chaman mein gul-e-tar ka
tab barf ke mahtab se phuTengi shuaen
bujh jaega jab shoala mere dagh-e-jigar ka
aaina shikasta hua chubhne lagin palken
nazzara bhi dekha na gaya rup-nagar ka
aaseb ho sarsar ho bala ho ki qaza ho
sab ke liye darwaza khula hai mere ghar ka
uDti hi rahi KHak-e-badan tez hawa mein
ehsan ye kuchh kam to nahin barq-o-sharar ka
miT jaengi peshani-e-marmar se lakiren
ab rang utar jaega taus ke par ka
KHushiyon ka chamak-dar hiran hath na aaya
pichha kya aahon ne bahut jazb-o-asar ka
kis tarah mayassar ho mujhe arsa-e-rahat
har lahza nai choT naya gham naya charka
'siddiq' jinhen rah-e-wafa main ne sujhai
patthar wahi kahte hain mujhe rahguzar ka

Ghazal
Har chand ki pyara tha main suraj ki nazar ka
Siddique Afghani