اردو हिंदी
Har-chand ki insaf ka KHwahan bhi wahi hai | Shaahi Shayari
har-chand ki insaf ka KHwahan bhi wahi hai

Ghazal

Har-chand ki insaf ka KHwahan bhi wahi hai

Irfan Waheed

;

har-chand ki insaf ka KHwahan bhi wahi hai
qatil bhi wahi aur nigahban bhi wahi hai

barbaadi-e-gulshan ka jo saman bana tha
barbaadi-e-gulshan pe pasheman bhi wahi hai

hai nisbat-e-naumidi-e-tariki-e-shab jo
ek muzhda-e-ummid-e-farozan bhi wahi hai

pani mein talatum bhi usi chand ke bais
aur apni ada dekh ke hairan bhi wahi hai

tathir-e-siyasat ka bhi dawa hai usi ko
tanqid-e-hukumat se gurezan bhi wahi hai

mushkil hai mafar wahshat-e-tanhai se 'irfan'
jo qarya hai aabaad bayaban bhi wahi hai