har-chand dukh-dahi se zamane ko ishq hai
lekin mere bhi tab ke lane ko ishq hai
aashufta-sar hain yan dil-e-sad-chaak bhi kai
tanha na teri zulf se shane ko ishq hai
aflak baiThe jaen the jis bojh ke tale
aadam ke waise bar uThane ko ishq hai
wahshat ko apni shahr o bayaban mein ja nahin
aaqil ko ab dua o diwane ko ishq hai
ya-rab ban aai aadmi mar jae par na ho
wo ranj-e-bad-bala jo kahane ko ishq hai
dil ko chhuTa wahin se phansaya to zulf mein
ai ishq tere baat baDhane ko ishq hai
'qaem' hawas se go ki kahi sab ne ye ghazal
lekin tere radif biThane ko ishq hai
Ghazal
Har-chand dukh-dahi se zamane ko ishq hai
Qayem Chandpuri