har aaine mein tera hi dhuan dikhai diya
mera wajud hi mujh ko kahan dikhai diya
ye kaisi dhup ke mausam mein ghar se nikla hun
ki har parinda mujhe saeban dikhai diya
main apni lahr mein lipTa hua samundar hun
main kya karun jo tera baadban dikhai diya
kaha hi tha ki salam ai imam-e-ali-maqam
hamari pyas ko aab-e-rawan dikhai diya
meri nazar to KHalaon ne bandh rakkhi thi
mujhe zamin se kahan aasman dikhai diya
Ghazal
Har aaine mein tera hi dhuan dikhai diya
Afzal Gauhar Rao