har aah-e-sard ishq hai har wah ishq hai
hoti hai jo bhi jurat-e-nigah ishq hai
darban ban ke sar ko jhukae khaDi hai aql
darbar-e-dil ki jis ka shahanshah ishq hai
sun ai ghurur-e-husn tera tazkira hai kya
asrar-e-kaenat se aagah ishq hai
jabbar bhi rahim bhi qahhaar bhi wahi
sare usi ke nam hain allah ishq hai
mehnat ka phal hai sadqa-o-KHairaat kyun kahen
jine ki hum jo pate hain tanKHwah ishq hai
chehre faqat paDaw hain manzil nahin teri
ai karwan-e-ishq teri rah ishq hai
aise hain hum to koi hamari KHata nahin
lillah ishq hai hamein wallah ishq hai
hon wo 'amir-imam' ki farhad-o-qais hon
aao ki har shahid ki dargah ishq hai

Ghazal
Har aah-e-sard ishq hai har wah ishq hai
Ameer Imam