اردو हिंदी
Haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge | Shaahi Shayari
haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge

Ghazal

Haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge

Kaleem Aajiz

;

haqiqaton ka jalal denge sadaqaton ka jamal denge
tujhe bhi hum ai gham-e-zamana ghazal ke sanche mein Dhaal denge

tapish patingon ko baKHsh denge lahu charaghon mein Dhaal denge
hum un ki mahfil mein rah gae hain to un ki mahfil sambhaal denge

na banda-e-aql-o-hosh denge na ahl-e-fikr-o-KHayal denge
tumhaari zulfon ko jo daraazi tumhaare aashufta-haal denge

ye aql wale isi tarah se hamein fareb-e-kamal denge
junun ke daman se phul chun kar KHirad ke daman mein Dal denge

hamari aashuftagi salamat sulajh hi jaegi zulf-e-dauran
jo pech-o-KHam rah gaya hai baqi wo pech-o-KHam bhi nikal denge

janab-e-shaiKH apni fikr kije ki ab ye farman-e-barhaman hai
buton ko sajda nahin karoge to but-kade se nikal denge