haq baat hi kahenge sar-e-dar dekhna
ahl-e-qalam ki jurat-e-izhaar dekhna
dekhen jinhen hain dair ke diwar-o-dar aziz
hum ko to sirf su-e-dar-e-yar dekhna
karta raha qalam yunhi shaKHen jo baghban
napaid hoga saya-e-ashjar dekhna
sarkar aap par jo chhiDakte hain jaan aaj
bach kar chalenge kal ye namak-KHwar dekhna
buniyaad jis ki hai hawas-e-iqtidar par
hone ko hai wo qila bhi mismar dekhna
Dala jo tum ne hath kulah-e-awam par
lag jaenge saron ke bhi ambar dekhna

Ghazal
Haq baat hi kahenge sar-e-dar dekhna
Raghib Muradabadi