hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai
chand mein sach-much nur kahan hai chand to ek virana hai
naz parastish ban jaega sabr zara ai shorish-e-dil
ulfat ki diwana-gari se husn abhi begana hai
mujh ko tanha chhoDne wale tu na kahin tanha rah jae
jis par tujh ko naz hai utna us ka nam zamana hai
tum se mujh ko shikwa kyun ho aaKHir basi phulon ko
kaun gale ka haar banae kaun aisa diwana hai
ek nazar mein duniya bhar se ek nazar mein kuchh bhi nahin
chahat mein andaz nazar hi chahat ka paimana hai
KHud tum ne aaghaz kiya tha jis ka ek tabassum se
mahrumi ke aansu ban kar KHatm pe wo afsana hai
yun hai us ki bazm-e-tarab mein ek dil gham-dida jaise
chaaron jaanib rang-mahal hain beach mein ek virana hai
Ghazal
Hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai
Andaleeb Shadani