hansi mein Tal rahe ho tum us ke rone ko
na dekhta ho wo hone se pahle hone ko
salam bhuk ko un ki karo jinhon ne kabhi
bachae rakkha tha thoDa anaj bone ko
diye gae hain KHazane unhi ko ahd-ba-ahd
raha tha kuchh bhi nahin jin ke pas khone ko
ghalat nahin ki lagati hain par maujen bhi
jo jaanti hain faqat Dubne Dubone ko
bikharna ye hai ki mayus lauT jati hai
jo raat aati hai mujh mein mujhe samone ko
jo aaj dekho to baiThe hain nil-kanTh bane
gae the hum bhi samundar kabhi bilone ko
pata chala ki ye aankhen mili hain us ke liye
shab-e-firaq ke gul raat bhar pirone ko
kuchh aansuon se hi nikle to nikle kaam koi
wo dagh hun ki samundar bhi kam hain dhone ko
Ghazal
Hansi mein Tal rahe ho tum uske rone ko
Mohammad Aazam