hansi hansi mein har ek gham chhupane aate hain
hasin sher hamein bhi sunane aate hain
hamare dam se hi aabaad hain gali-kuche
chhaton pe hum hi kabutar uDane aate hain
daricha khol diya tha tere KHayalon ka
hawa ke jhonke abhi tak suhane aate hain
visal hijr wafa fikr dard majburi
zara si umr mein kitne zamane aate hain
hasin KHwabon se milne ko pahle sote the
ki ab to KHwab bhi ninden uDane aate hain
'rais' khiDkiyan sari na kholiye ghar ki
hawa ke jhonke diye bhi bujhane aate hain

Ghazal
Hansi hansi mein har ek gham chhupane aate hain
Rais Siddiqui