اردو हिंदी
Hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhuTe | Shaahi Shayari
hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhuTe

Ghazal

Hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhuTe

Nazeer Akbarabadi

;

hanse roe phire ruswa hue jage bandhe chhuTe
gharaz hum ne bhi kya kya kuchh mohabbat ke maze luTe

kaleje mein phaphule dil mein dagh aur gul hain hathon par
khile hain dekhiye hum mein bhi ye ulfat ke gul-buTe

tafawut kuchh nahin gulchin mein aur be-dard KHuban mein
jo us ke hath gul TuTe to in ke hath dil TuTe

hazaron galiyan din phir zara hans kar idhar dekha
bhala itni tasalli se phaphule dil ke kab phuTe

kuchalte ho mujhe tum main ye mangun hun dua dil mein
koi dilbar mere aage tumhein bhi KHub sa kuTe

zaban ki kar ke miqraaz aur bana dushnam ka kaghaz
hamare haq mein kya kya aap ne katre hain gul-buTe

ye kahte hain ki aashiq chhuT jata hai aziyyat se
jab us ki umr ko lashkar ajal ka aan kar luTe

hamari ruh to phirti hai mashuqon ki galiyon mein
'nazir' ab hum to mar kar bhi na is janjal se chhuTe