اردو हिंदी
Hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai | Shaahi Shayari
hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai

Ghazal

Hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai

Rifat Sarosh

;

hangame se wahshat hoti hai tanhai mein ji ghabrae hai
kya jaaniye kya kuchh hota hai jab yaad kisi ki aae hai

jin kuchon mein sukh-chain gaya jin galiyon mein badnam hue
diwana dil un galiyon mein rah rah kar Thokar khae hai

sawan ki andheri raaton mein kis shoKH ki yaadon ka aanchal
bijli ki tarah lahrae hai baadal ki tarah uD jae hai

yaadon ke darpan TuT gae nazron mein koi surat hi nahin
lekin be-chehra mazi saya saya lahrae hai

kuchh duniya bhi bezar hai ab hum jaise wahshat walon se
kuchh apna dil bhi duniya ki is mahfil mein ghabrae hai

kaliyon ki qabaen chaak huin phulon ke chehre zaKHmi hain
ab ke ye bahaaron ka mausam kya rang naya dikhlae hai

diwar na dar sunsan khanDar aisa ujDa ye dil ka nagar
tanhai ke virane mein aawaz bhi Thokar khae hai

ye mera koi dam-saz na ho 'rifat' ye koi hamraaz na ho
jo mere git meri ghazlen meri hi dhun mein gae hai