hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka
ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka
mera lahu bhi pi ke na duniya jawan hui
qimat mere junun ki mera sar na ho saka
teri gali se chhuT ke na ja-e-aman mili
ab ke to mera ghar bhi mera ghar na ho saka
tere na ho sake to kisi ke na ho sake
ye karobar-e-shauq mukarrar na ho saka
yun ji bahal gaya hai teri yaad se magar
tera KHayal tere barabar na ho saka
guzri jo shab to bujh gae apne charagh bhi
aai sahar to phir koi rahbar na ho saka
Ghazal
Hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka
Khalilur Rahman Azmi