hamrah mere koi musafir na chala tha
dhoka mujhe KHud apni hi aahaT se hua tha
masdud hui jis ki har ek rah sarasar
us saf mein mujhe la ke khaDa kis ne kiya tha
jumbish hi se honTon ki jo kuchh samjho to samjho
us gung mahl mein to bas itna hi rawa tha
tamir hue ghar to gae jaane kahan wo
jin KHana-ba-doshon ka yahan KHema laga tha
dhundlae KHad-o-KHal gar us ke to ajab kya
dekhe hue yun bhi use yug bit gaya tha
shab shola-ba-daman to sahar soKHta-saman
do rup badalta tha ajab wo bhi diya tha
Ghazal
Hamrah mere koi musafir na chala tha
Shabnam Shakeel