hamin wafaon se rahte the be-yaqin bahut
dil-o-nigah mein aae the mah-jabin bahut
wo ek shaKHs jo dikhne mein Thik-Thak sa tha
bichhaD raha tha to lagne laga hasin bahut
tu ja raha tha bichhaD ke to har qadam pe tere
phisal rahi thi mere panw se zamin bahut
wo jis mein bichhDe hue dil lipaT ke rote hain
main dekhta hun kisi film ka wo scene bahut
tere KHayal bhi dil se nahin guzarte ab
isi mazar pe aate the zaerin bahut
taDap taDap ke jahan main ne jaan di hai 'siraj'
khaDe hue the wahin par tamashbin bahut
Ghazal
Hamin wafaon se rahte the be-yaqin bahut
Siraj Faisal Khan