hamin the aise sar-phire hamin the aise manchale
ki tere gham ki raat mein charagh ki tarah jale
mile koi to phir maze na zindagi ke puchhiye
kaTe jo raat dair mein to mai-kade mein din Dhale
khili hui har ek kali mahak rahi hai shaKH par
to kuchh udas phul bhi paDe hain shaKH ke tale
is anjuman ko kya hua na raushni na zindagi
charagh o gul jale bujhe dimagh o dil mile dale
ye baat talKH hai magar ye baat guftani bhi hai
ki zahidan-e-KHud-nigar se rind-e-ba-safa bhale
ghurub-e-aftab par sitare muskurae hain
ki ek diya bujha to kya hazar-ha diye jale
'shamim' manzil-e-talab qadam ko aa ke chum le
agar qadam ko joD kar tamam karwan chale
Ghazal
Hamin the aise sar-phire hamin the aise manchale
Shamim Karhani